Showing posts with label Hindi. Show all posts
Showing posts with label Hindi. Show all posts

Sunday, June 3, 2012

Sandook

Ek laal rang ki sandook hai mere paas,
Jismein sambhaal kar rakhi hain kuch cheezein khaas.

Kuch yaadein bhi hain unmein,
Aur thode anchhue ehsaas.

Kuch kaagaz ke tukde hain,
Syaahi ki boondon ke saath.

Hain kuch murjhaaye phool aur muskurate chehron ki tasveerein,
Jo lejaate hain un yaadon ke paas.

Rakha hai usse kahin sabse chupakar,
Dekhti hun kabhi jab koi na ho aas paas.

Ek laal rang ki sandook hai mere paas,
Jismein sambhaal kar rakhi hain kuch cheezein khaas.